gar yahi hai aadat-e-takrar hanste bolte munh ki ek din khaenge aghyar hanste bolte thi tamanna bagh-e-alam mein gul o bulbul ki tarah baith kar hum tum kahin ai yar hanste bolte meri qismat se zaban-e-tir bhi goya nahin warna kya kya zakhm-e-daman-dar hanste bolte dil-lagi mein hasrat-e-dil kuchh nikal jati to hai bose le lete hain hum do-chaar hanste bolte aaj uzr-e-ittiqa 'taslim' kal tak yar se aap ko dekha sar-e-bazar hanste bolte