abhi abhi tha tabassum abhi hijab mein hai zamane bhar ka talawwun tere shabab mein hai zamir-e-lauh-o-qalam jis se pech-o-tab mein hai wo raaz mere dil-e-khanuman-kharab mein hai tasawwur us ka mere dida-e-pur-ab mein hai jo be-hijab bhi ho kar abhi hijab mein hai nigah-e-husn se azal jau kaundi thi wo barq dekh mere saghar-e-sharab mein hai bas ek sabza-e-begana par nahin mauquf ye wo chaman hai jahan zarra zarra khwab mein hai likha tha kilk-e-azal ne jo husn-o-masti par wo tabsira bhi teri chashm-e-nim-khwab mein hai bilittifaq tum ab ban gae na markaz-e-husn yahi to baat mere husn-e-intikhab mein hai khayal-e-tark-e-mohabbat durust 'faiz' magar main puchhta hun ye imkan aan-janab mein hai