gul-e-rangin mah-e-kaamil kahan hai mujhe aawaz de ai dil kahan hai hai khud gumrah aql-e-maslahat mein junun se puchhiye manzil kahan hai har ek shai is muhit-e-zindagi mein fareb-e-mauj hai sahil kahan hai na ithla ai nasim-e-subh-gahi khuda jaane mera ab dil kahan hai dar-e-mazi jabin-e-haal kab tak bata ai mere mustaqbil kahan hai na malum ai sukun-e-kaamrani wo lutf-e-sai-e-la-hasil kahan hai bahaar aaegi ashk-e-sada-ru par abhi khun-e-jigar shamil kahan hai wo dil jis ko mayassar hai huzuri asir-e-bazm-e-ab-o-gil kahan hai jise samjha hai 'faiz' aaina-e-haq wo be-aks-e-rukh-e-baatil kahan hai