zamane ko zer-o-zabar kar diya ye kya tu ne ai chashm-e-tar kar diya laga rakhna qatil ke shayan nahin idhar kar diya ya udhar kar diya kiya aur bhi mere qasid ne shokh jo us ko mera nama-bar kar diya saba ne lagai kahan ki kahan idhar aah ki wan khabar kar diya khalish nok-e-mizhgan ki kuchh kam na thi badha kar use neshtar kar diya meri sham-e-ummid gul ho gai sitam tu ne baad-e-sahar kar diya thapak kar sulaya mujhe bar-bar main tha ba-khabar be-khabar kar diya wafaen hamari akarat gain raqibon ko jam us ne bhar kar diya jo muddat se thi ji mein ab than gai dil-e-pur-khatar be-khatar kar diya jidhar tera tir-e-nazar chal gaya idhar main ne nazr ek jigar kar diya nazar mujh se qatil chura jaega agar main ne sina-sipar kar diya tumhaari khamoshi ne us ko 'fahim' sitamgar se fitna-gar kar diya