kuchh khar hi nahin mere daman ke yar hain gardan mein tauq bhi to ladakpan ke yar hain sina ho kushtagan-e-mohabbat ka ya gala donon ye tere khanjar-e-ahan ke yar hain khatir hamari karta hai dair-o-haram mein kaun hum to na shaikh ke na barahman ke yar hain kya puchhta hai mujh se nishan sail-o-barq ka donon qadim se mere khirman ke yar hain kya garm hain ki kahte hain khuban-e-lucknow london ko jaen wo jo firangan ke yar hain wo dushmani karen to karen ikhtiyar hai hum to adu ke dost hain dushman ke yar hain kuchh is chaman mein sabza-e-begana hum nahin nargis ke dost lala-o-sausan ke yar hain kante hain jitne wadi-e-ghurbat ke ai junun sab aastin ke jeb ke daman ke yar hain gum-gashtagi mein rah batata hai hum ko kaun hai khizr jin ka nam wo rahzan ke yar hain chalte hain shauq-e-barq-e-tajalli mein kya hai khauf chite tamam wadi-e-aiman ke yar hain piri mujhe chhudati hai ahbab se 'amir' dandan nahin ye mere ladakpan ke yar hain