abhi ek shor sa utha hai kahin koi khamosh ho gaya hai kahin hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh is se pahle bhi ho chuka hai kahin tujh ko kya ho gaya ki chizon ko kahin rakhta hai dhundhta hai kahin jo yahan se kahin na jata tha wo yahan se chala gaya hai kahin aaj shamshan ki si bu hai yahan kya koi jism jal raha hai kahin hum kisi ke nahin jahan ke siwa aisi wo khas baat kya hai kahin tu mujhe dhund main tujhe dhundun koi hum mein se rah gaya hai kahin kitni wahshat hai darmiyan-e-hujum jis ko dekho gaya hua hai kahin main to ab shahr mein kahin bhi nahin kya mera nam bhi likha hai kahin isi kamre se koi ho ke widaa isi kamre mein chhup gaya hai kahin mil ke har shakhs se hua mahsus mujh se ye shakhs mil chuka hai kahin