meri nazar ko dar-o-baam par lagaya hua hai chalo kisi ne mujhe kaam par lagaya hua hai wo aur honge jo sahra mein pa-ba-jaulan hain mujhe to shahr ne ahkaam par lagaya hua hai agar wo aaya to is bar subh manunga bahut dinon se mujhe sham par lagaya hua hai kabhi to lagta hai ye uzr-e-lang hai warna mujhe to kufr ne islam par lagaya hua hai wo aur log hain jo us ke pas baithe hain hamein to us ne kisi kaam par lagaya hua hai