abhi hairat ziyaada aur ujala kam rahega ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega meri wahshat pe sahra tang hota ja raha hai kaha to tha ye aangan la-mahaala kam rahega bhala wo husn kis ki dastaras mein aa saka hai ki sari umr bhi likkhen maqala kam rahega bahut se dukh to aise bhi diye tum ne ki jin ka mudawa ho nahin sakta izala kam rahega wo chandi ka ho sone ka ho ya phir ho lahu ka 'salim' ahl-e-hawas ko har niwala kam rahega