dil ne apni zaban ka pas kiya aankh ne jaane kya qayas kiya kya kaha baad-e-subh-gahi ne kya charaghon ne iltimas kiya kuchh ajab taur zindagani ki ghar se nikle na ghar ka pas kiya ishq ji jaan se kiya hum ne aur be-khauf-o-be-hiras kiya raat aai udhar sitaron ne shabnami pairahan libas kiya saya-e-gul to main nahin jis ne gul ko dekha na gul ko bas kiya baal to dhup mein safed kiye zard kis chhanw mein libas kiya kya tera e'tibar tha tu ne kya ghazab shahr-e-nasapas kiya kya bataun sabab udasi ka be-sabab main use udas kiya zindagi ek kitab hai jis se jis ne jitna bhi iqtibas kiya jab bhi zikr-e-ghazal chhida us ne zikr mera ba-taur-e-khas kiya