teri aankhon ka manzar samne hai main pyasa hun samundar samne hai ana badhne nahin deti hai aage mere raste ka patthar samne hai khayalon se hai koson dur lekin nigahon mein wo aksar samne hai main khud se roz hota hun baghal-gir mera apna hi paikar samne hai na jalwa hai na aaina hai koi ye hairat hai wo kyunkar samne hai masafat hai ek aaina-nazar ka kahin jaun mera ghar samne hai khila hai ai 'ziya' nazron mein ek phul koi surat badal kar samne hai