abhi kam-sin hain malumat kitni wo kitne aur un ki baat kitni ye mere waste hai baat kitni wo kahte hain teri auqat kitni sahar tak haal kya hoga hamara khuda jaane abhi hai raat kitni ye sar hai ye kaleja hai ye dil hai wo lenge khair se saughat kitni tawajjoh se kabhi sun lo meri baat jo tum chaho to ye hai baat kitni tabiat kyun na apni muzmahil ho rahi ye morid-e-afat kitni gulistan fasl-e-gul mein lut raha hai hina aai tumhaare hat kitni hamare dil na dene par khafa ho lutate ho tumhin khairaat kitni karo shukr-e-sitam un ke sitam par ki itni baat bhi hai baat kitni jafa-o-qahr se waqif na tha main badhi ulfat mein malumat kitni jafa wale hisab is ka laga len wafa karta hun main din raat kitni ibaadat hazrat-e-zahid karun main magar ai qibla-e-hajat kitni nahin rukte hamare ashk ai 'nuh' ye tufan-khez hai barsat kitni