bund ashkon se agar lutf-e-rawani mange bulbula aankhon se khunaba-fishani mange bahr-e-ulfat mein chala hai to pahle mastul tir se aah ke kashti-e-dukhani mange nukta-e-wasl dam-e-arz qalam par rakkhe bosa chahe to lab-e-shauq zabani mange ta-qayamat dil-e-bedar sunae har roz khwab-e-rahat tera gar roz kahani mange dil to dil afai-e-gesu wo bala hai kafir is ka kata koi afi bhi na pani mange tere qadmon ki badaulat hai nishan turbat par is se badh kar koi kya mar ke nishani mange us jawan ke gham-e-hijran ne kiya hai budha khizr bhi dekh ke jis but ko jawani mange chah mein us mah-e-nakhshab ke shab-o-roz hain gharq qaz jis ka mah-e-kanan se shabani mange kharij imkan se hai 'shahbaz' shahidon ka shumar koi kis kis ke liye marsiya-khwani mange