dida o dil mein koi husn bikharta hi raha lakh pardon mein chhupa koi sanwarta hi raha raushni kam na hui waqt ke tufanon mein dil ke dariya mein koi chand utarta hi raha raste bhar koi aahat thi ki aati hi rahi koi saya mere bazu se guzarta hi raha mit gaya par teri banhon ne sameta na mujhe shahr dar shahr main galiyon mein bikharta hi raha lamha lamha rahe aankhon mein andhere lekin koi suraj mere sine mein ubharta hi raha