abhi kami hai bahut tujh mein dekh aisa kar kisi buzurg ke sae mein roz baitha kar shua-e-mahr basarat ko chhin leti hai nazar utha ke na suraj ki samt dekha kar mujhe yaqin hai ki ja kar bhi laut aaega hazar bar bichhadne ka tu irada kar chamak rahe hain andhere mein kanch ke tukde tujhe dikhai na denge zara ujala kar baja ki hissa-e-haq bhi na mil saka lekin 'asar' udas na ho apna dil kushada kar