kabhi patthar tha ab main aaina hun koi dekhe ki kya tha aur kya hun zamana kar raha hai ghaur jis par wo ek nuqta kitab-e-zist ka hun sukut-e-ab par tahrir padhna main ek chhota sa kankar phenkta hun mujhe jitna tapaya ja raha hai main utna hi chamakta ja raha hun guman hone laga hai hadse ka bahut unchi imarat par khada hun