yaadon ka shahr-e-dil mein charaghan nahin raha kya koi gham hi shoala-ba-daman nahin raha ab e'tiraf-e-ahd-e-wafa kar rahe hain wo jab eatibar-e-umr-e-gurezan nahin raha nikle kuchh aur aabla-pai ki ab sabil sahra mein koi khar-e-mughilan nahin raha bakhiya-gari-e-dil ke tasawwur mein gum hue goya khayal-e-jumbish-e-mizhgan nahin raha ye soch kar ki khugar-e-gham ho na jaun main wo sargiran hua sitam arzan nahin raha aazar-e-hijr apni jagah mustaqil magar dil mujh se tere qurb ka khwahan nahin raha yaad-e-khuda hi kaba-e-dil mein basaiye ab ek but bhi dushman-e-iman nahin raha imkan-e-wasl-e-yar to 'akhgar' kabhi na tha aazar-e-hijr-e-yar ka arman nahin raha