abhi nahin ki abhi mahz istiara bana tu yar dast-e-haqiqat mujhe dobara bana ki bah na jaun main dariya ki rasm-e-ijra mein qayam de meri mitti mujhe kinara bana hum apna aks to chhod aae the par us ke baad khabar nahin ki un aankhon mein kya hamara bana mujhe jo banna hai ban jaunga khud apne aap banane wale mujhe khub para-para bana hujum-e-shahr ki jis ki mulazmat mein hun main mere liye meri tanhai ka idara bana isi liye to munafea mein hai hawas ka kaam ki ishq mere liye bais-e-khasara bana shikariyon ko khula chhod dasht-e-mani mein tu apne lafz ko 'ehsas' mahz ishaara bana