lamha lamha roz o shab ko der hoti jaegi ye safar aisa hai sab ko der hoti jaegi sabz lamhon ko ugane ka hunar bhi sikhna warna is rang-e-talab ko der hoti jaegi is hawa mein aadmi patthar ka hota jaega aur rone ke sabab ko der hoti jaegi dekhna tera hawala kuchh se kuchh ho jaega dekhna sher o adab ko der hoti jaegi rafta rafta jism ki parten utarti jaengi kaghzi nam o nasab ko der hoti jaegi aam ho jaega kaghaz ke gulabon ka chalan aur khushbu ke sabab ko der hoti jaegi sara manzar hi badal jaega 'ahmad' dekhna mausam-e-rukhsar-o-lab ko der hoti jaegi