farar pa na saka koi rasta mujh se hazar bar mera samna hua mujh se darakht hath hilate the rahnumai ko musafiron ne to kuchh bhi nahin kaha mujh se ye be-hunar bhi nahin sath bhi nahin dete na jaane hai mere hathon ko bair kya mujh se main lautne ke tasawwur se khauf khata hun lipat na jaen kahin mere naqsh-e-pa mujh se hazar bar janam bhi liya to kya 'ashhar' mera wajud bichhadta chala gaya mujh se