har uzw-e-badan ek se hai ek tera khub sine ki safai se hai chehre ki safa khub qasid ke badan par alif-e-zakhm lage hain khat ka mere likkha ye jawab aap ne kya khub aagah nahin hai koi ahwal se mere jo mujh pe guzarti hai wo jaane hai khuda khub ban ban ke dahan halqa-e-gesu-e-musalsal lute hai tere bosa-e-ariz ka maza khub abtar hua jo sher kaha zulf ka teri bandha koi mazmun hina ka to bandha khub madfun kiya teri hi gali mein use aakhir pai tere aashiq ne pas-e-marg bhi ja khub do-chaar hi shab mah to rahta hai nahufta muddat hui dekha nahin wo mah chhupa khub sharbat ke ewaz suda-e-almas pilaya ki aap ne bimar-e-mohabbat ki dawa khub ruk ruk ke jo dam nikle hai mazbuh ka tere kya khanjar-e-khun-khwar tera tez na tha khub maghrur na hona karam-e-yar pe 'ghafil' paega abhi dil ke lagane ki saza khub