abhi ranj-e-safar ki ibtida hai abhi se ji bahut ghabra raha hai diye bujhne lage hain taqchon mein har ek shai par andhera chha raha hai hawa shakhon mein chhup kar ro rahi hai na jaane kaisa mausam aa raha hai thithurti rut mein zakhmi ungliyon se hamein dariya mein sona dhundhna hai isi ummid par ban-bas katen hamein bhi ek din ghar lautna hai bahut chahun ki main bhi hath uthaun mere honton pe lekin bad-dua hai