abhi saz-e-dil mein tarane bahut hain abhi zindagi ke bahane bahut hain ye duniya haqiqat ki qail nahin hai fasane sunao fasane bahut hain tere dar ke bahar bhi duniya padi hai kahin ja rahenge thikane bahut hain mera ek nasheman jala bhi to kya hai chaman mein abhi aashiyane bahut hain nae git paida hue hain unhin se jo pur-soz naghme purane bahut hain dar-e-ghair par bhik mango na fan ki jab apne hi ghar mein khazane bahut hain hain din bad-mazaqi ke 'naushad' lekin abhi tere fan ke diwane bahut hain