apni tadbir na taqdir pe rona aaya dekh kar chup teri taswir pe rona aaya kya hasin khwab mohabbat ne dikhae the hamein jab khuli aankh to tabir pe rona aaya ashk bhar aae jo duniya ne sitam dil pe kiye apni lutti hui jagir pe rona aaya khun-e-dil se jo likha tha wo mita ashkon se apne hi name ki tahrir pe rona aaya jab talak qaid the taqdir pe hum rote the aaj tuti hui zanjir pe rona aaya rah-e-hasti pe chala maut ki manzil pe mila hum ko is rah ke rahgir pe rona aaya jo nishane pe laga aur na palat kar aaya hum ko 'naushad' usi tir pe rona aaya