abhi tak chashm-e-qatil se pashemani nahin jati nadamat khun-e-nahaq ki ba-asani nahin jati haqiqat parda-e-baatil mein chhup jae ye na-mumkin pas-e-fanus bhi shoalon ki uryani nahin jati farishte mahw-e-hairat rah gae parwaz-e-insan par wahan pahuncha jahan tak aql-e-insani nahin jati sitamgari asar karti nahin rangin tabiat par qafas mein bhi anadil ki ghazal-khwani nahin jati na ho jae kahin zer-o-zabar ye aaina-khana nigah-e-'shauq' se jalwon ki hairani nahin jati