bhule se kabhi meri jaanib jab un ki nazar ho jati hai hangame bapa ho jate hain aalam ko khabar ho jati hai meri shab-e-furqat ki zulmat marhun-e-tajalli ho na saki hogi wo kisi ke wasl ki shab jis shab ki sahar ho jati hai kuchh din aise bhi aate hain kate se nahin jo katte hain kuchh aisi bhi raaten aati hain baaton mein sahar ho jati hai shamshad khada munh takta hai hairani-e-nargis kya kahiye gulzar mein jab wo aata hai us gul ko nazar ho jati hai eajaz-e-tajalli to dekho wo samne jab aa jate hain betabi-e-dil badh jati hai taskin-e-jigar ho jati hai maikhane mein sab kuchh milta hai ye shaikh-o-barahman kya jaanen yun dair-o-haram ke jhagdon mein ek umr basar ho jati hai wo shauq bhari nazren uth kar ek hashr bapa kar deti hain duniya-e-mohabbat ki har shai tab zer-o-zabar ho jati hai jab shauq ki aankhon mein raqsan kaunain ke jalwe hote hain manzil wahin khud khinch aati hai takmil-e-safar ho jati hai