abhi to dil mein hai jo kuchh bayan karna hai ye baad mein sahi kis baat se mukarna hai tu mere sath kahan tak chalega mere ghazal main rasta hun mujhe shahr se guzarna hai kanar-e-ab main kab tak ginunga lahron ko hai sham sar pe mujhe par bhi utarna hai abhi to main ne hawaon mein rang bharne hain abhi to main ne ufuq dar ufuq bikharna hai diler hain ki abhi doston mein baithe hain gharon ko jate hue sae se bhi darna hai main muntazir hun kisi hath ka banaya hua ki us ne mujh mein abhi aur rang bharna hai hazar sadiyon ki rondi hui zamin hai 'nasim' nahin hun main ki jise pahla panw dharna hai