taza-ba-taza subh ke aKHbar ki tarah

taza-ba-taza subh ke akhbar ki tarah
becha gaya aaj bhi har bar ki tarah

qatil hain meri jaan ka dushman hai wo magar
milta hai mujh se jo kisi gham-khwar ki tarah

ek shai ki jis ka nam hai ehsas zehn mein
paiham khatakta rahta hai ek khar ki tarah

main apni be-gunahi pe khud apne aap mein
rahta hun sharm-sar gunahgar ki tarah

karte hain baat baat mein jazbon ka mol-tol
karte hain log pyar bhi bewpar ki tarah

chahat bhi un ki hoti hai nafrat liye hue
iqrar bhi wo karte hain inkar ki tarah

'aghaz' har ek bazm mein har ek zaban par
hai us ka tazkira mere ashaar ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close