dur se kya muskura kar dekhna dil ka aalam dil mein aa kar dekhna khud ko gar pahchanna chaho kabhi mujh ko aaina bana kar dekhna qad ka andaza tumhein ho jaega apne sae ko ghata kar dekhna main andhere odh kar so jaunga tum ujalon mein sama kar dekhna sham ka manzar hasin ho jaega hath pe mehndi laga kar dekhna ho chala zakhm-e-tamanna mundamil ek zara phir muskura kar dekhna kis qadar 'aghaz' ubalta hai sakun tum zara aansu baha kar dekhna