chashm-e-yaqin se dekhiye jalwa-gah-e-sifat mein husn hi husn hai tamam ishq ki kaenat mein aise bhi waqt aae hain ishq ki wardat mein mastiyan jhum jhum uthin dida-e-kainat mein tu meri sarguzisht-e-gham sun ke karega kya nadim waqf-e-khalish hai har-nafas dard hai baat baat mein jam-o-sharab-o-khum subu saqiya hain barae-nam nashsha teri nazar ka hai mai-kada-e-hayat mein jis ka anis tera gham jis ki rafiq teri yaad us ko mila sukun-e-dil bazm-e-taghayyuraat mein tark-o-talab ke marhale is tarah hum ne tai kiye samne mere wo rahe aaina-e-hayat mein aalam-e-be-khudi mein gar sajda kiya koi 'waqar' ban gaya naqsh-e-jawedan manzil-e-be-sabaat mein