abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai ki ashk rokna tum se muhaal hona hai har ek lab pe hai meri wafa ke afsane tere sitam ko abhi la-zawal hona hai baja ki khwab hain lekin bahaar ki rut mein ye tai hai ki ab ke hamein bhi nihaal hona hai tumhein khabar hi nahin tum to laut jaoge tumhaare hijr mein lamha bhi sal hona hai hamari ruh pe jab bhi azab utrenge tumhaari yaad ko is dil ko dhaal hona hai kabhi to roega wo bhi kisi ki banhon mein kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai milengi hum ko bhi apne nasib ki khushiyan bas intizar hai kab ye kamal hona hai har ek shakhs chalega hamari rahon par mohabbaton mein hamein wo misal hona hai zamana jis ke kham-o-pech mein ulajh jae hamari zat ko aisa sawal hona hai 'wasi' yaqin hai mujh ko wo laut aaega use bhi apne kiye ka malal hona hai