kabhi dard-ashna tera bhi qalb shadman hoga kabhi nam-e-khuda tu bhi to ai kam-sin jawan hoga nahin malum un ki jalwa-gah mein kya saman hoga nazar jab kaamran hogi to ai dil tu kahan hoga wahi ek sans madhosh hayat-e-jawedan hoga jo aah-e-sard ban kar soz-e-gham ka tarjuman hoga laraz jaenge ye mazlumi dil ke tamashai agar ye khak ka to wo kabhi aatish-fishan hoga jo soz-e-dil se muztar ho ke aaega sar mizhgan to khurshid-e-qayamat mera ashk khun-chakan hoga sitare ban ke chamkenge dil barbaad ke zarre ye dil barbaad ho kar bhi dalil-e-karwan hoga