tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun rida-e-waqt ko kya dagh-dar mein bhi karun muaf mujh ko na karna kisi bhi surat se zamane tujh ko agar ashk-bar main bhi karun mile jo mujh ko bhi fursat gham-e-zamana se kisi ke samne zikr-e-bahaar main bhi karun jo dale rahte hain chehron pe maslahat ki naqab kya aise logon mein tera shumar main bhi karun khuda kare ki tujhe wo maqam bhi ho nasib jahan pahunch ke tera eatibar mein bhi karun saliqa mujh ko jo aa jae sher kahne ka ki ghazal-e-'mir' se naqsh-o-nigar main bhi karun