dukh-dard mere pas bhi jauhar ki tarah hain zulmat mein wo qindil-e-munawwar ki tarah hain footpath pe raaton ko maza milta hai ghar ka hum din ke ujale mein to be-ghar ki tarah hain thahre hain magar aage hai chalne ka irada hum log yahan mil-ke-patthar ki tarah hain har mauj pe himmat meri patwar hai lekin ummid ki aankhen to samundar ki tarah hain chahenge to qadmon pe ye duniya bhi jhukegi hum apne hi hathon mein muqaddar ki tarah hain sadkon pe nikal aaen to aawara na samjho hum sina-e-sahra mein kisi ghar ki tarah hain