kabhi mehr-o-mah kabhi kahkashan kabhi aasman se guzar gaya meri rifaton pe wo sar-nigun main to la-makan se guzar gaya kai manzilon ke nishan mile main har ek nishan se guzar gaya mere pichhe pichhe karwan main jahan jahan se guzar gaya mila but-kada to kabhi haram kahin ruk sake na mere qadam teri justuju mein teri qasam main kahan kahan se guzar gaya na kali mein thi kahin kuchh kashish the fasurda phul rawish rawish main nigah sarsari dal kar tere gulsitan se guzar gaya na hi chaara-gar koi mill saka na ilaj-e-gham mera ho saka mujhe mil saki na dawa-e-dil main har ek dukan se guzar gaya yahan apne the wahan ghair the ajab ek manzar-e-yas tha main kabhi yahan se guzar gaya main kabhi wahan se guzar gaya