abhi zindan ke darichon ko khula rahne de kya khabar kab idhar aa jae hawa rahne de tut kar khud hi bikhar jaunga ai baad-e-sumum nakhl-e-taza hun to shadab zara rahne de main hun zarra to mujhe ret ke tufan se bacha main hun qatra to samundar se juda rahne de raushni hogi to sae bhi sitam dhaenge aur kuchh der charaghon ko bujha rahne de dil se umdi hi thi ek mauj lahu ki sar-e-sham ek bujhte hue manzar ne kaha rahne de main ne kab tere taghaful ki shikayat ki thi chashm-e-bedar mujhe kuchh na dikha rahne de