teri mohabbaton ke giraftar aa gae yani aziyyaton ke talabgar aa gae ye jaante hue ki kharidar hi nahin hum khwab bechne sar-e-bazar aa gae dekha ki bazm-e-yar mein ghairon ki bhid hai chup-chap uth ke hum pas-e-diwar aa gae ek phul apne waqt se pahle mahak utha jaane kahan kahan se kharidar aa gae bas ek bar kucha-e-jaanan ka rukh kiya phir us ke baad khud hi sar-e-dar aa gae