mausamon ki surkh gili dhup mere ghar mein thi shoalagi ke raqs mein dubi faza bahar mein thi meri aankhon se tapakta tha kisi budhe ka dil dhup ki ujli jawani mere hi paikar mein thi sabza-o-gul lahlahate the har ek jaanib magar ro pada dariya udasi kaun se manzar mein thi aap ki diwar par ug aae the kitne babul meri poshida kahani aap hi ke ghar mein thi rafta rafta khinch rahe the sab usi jaanib 'shamim' kya najat-e-admi ab shorish-e-mahshar mein thi