faza mein bu-e-gul-emushk-bar hai ki nahin hawa ke dosh pe paigham-e-yar hai ki nahin sawal ye nahin wo dost-dar hai ki nahin sukhan-shanas dil-e-gham-gusar hai ki nahin karo na zikr subu zar-nigar hai ki nahin ilaj-e-tishnagi-e-baada-khwar hai ki nahin kisi gada-e-gurasna ko hai ye hosh kahan koi nigar lab-e-juebar hai ki nahin kiya hai azm-e-safar ab nahin taraddud kuchh kahin koi shajar-e-saya-dar hai ki nahin hai ustuwari-e-ashiq ki bas yahi pahchan rah-e-wafa mein rawan su-e-dar hai ki nahin agar ho rizq ka aajir pe inhisar to ye khilaf-e-wada-e-parwardigar hai ki nahin chaman hai jin ke tasarruf mein un se ye puchho lahu hamara sharik-e-bahaar hai ki nahin kashakash-e-rah-e-hasti se tu pareshan hai haqiqaton se ye 'nazmi' farar hai ki nahin