bazm-e-ijad mein be-parda koi saz nahin hai ye teri hi sada ghair ki aawaz nahin kah sake kaun wo kya hai magar az-ru-e-yaqin gul nahin shama nahin sarw-e-sar-afraaz nahin dil ho be-laus to kya wajh-e-tasalli ho darogh tair-e-murda magar toama-e-shahbaz nahin bulbulon ka tha jahan sehn-e-chaman mein amboh aaj chidiya bhi wahan zamzama-pardaz nahin bhag virana-e-duniya se ki is manzil mein nuzl-e-mehman ba-juz maida-e-az nahin dilbari jazb-e-mohabbat ka karishma hai faqat kuchh karamat nahin jadu nahin eajaz nahin dil ki taskhir hai shirin-sukhani par mauquf kuchh karamat nahin jadu nahin eajaz nahin dast-e-qudrat ne mujhe aap banaya hai to phir kaun sa kaam hai mera ki khuda-saz nahin