abr be-wajh nahin dasht ke upar aae ek dua aur ki barish ki dua bar aae aankh rakhte hue kuchh bhi nahin dekha hum ne warna manzil se hasin rah mein manzar aae koi imkan ki jage kabhi lohe ka zamir aur qatil ki taraf laut ke khanjar aae aarzu thi ki shajar ko samar-awar dekhun baur padte hi magar sahn mein patthar aae tujh se dariya to gae chal ke samundar ki taraf mujh se qatre ki taraf ud ke samundar aae aazmaish ho shujaat ki to phir aise ho main akela hun mere samne lashkar aae kar diya dhup ne jab shahr ko sayon ke sipurd phir to din mein bhi kai raat ke manzar aae