khwahishon ke hisar se niklo jalti sadkon pe nange panw phiro raat ko phir nigal gaya suraj sham tak phir idhar udhar bhatko sharm peshaniyon pe baithi hai ghar se niklo to sar jhukae raho mangne se hua hai wo khud-sar kuchh dinon kuchh na mang kar dekho jis se milte ho kaam hota hai be-gharaz bhi kabhi kisi se milo dar-ba-dar khak udai hai din bhar ghar bhi jaana hai hath munh dho lo