mahaz-e-ilm pe chhaya hua andhera hai khirad ki rah ko diwangi ne ghera hai chaman ki khak mein ibrat ki dastanen hain sisak rahi hain bahaaren khizan ka dera hai charagh-e-dair-o-haram jal gae magar ab bhi jidhar nigah uthao udhar andhera hai samundaron pe sitaron pe nazm-e-alam par na ikhtiyar tumhaara hai aur na mera hai hazar rang bhari zindagi pe naz na kar qadam sambhal ke utha maut ka andhera hai ye aate jate hue ajnabi na samjhenge gada-nasib bata de kidhar ka phera hai ye kachchi nind ki aankhen ye surmagin tewar andheri raat ke daman mein bhi sawera hai qadam qadam pe wafa ke diye jala ke chalo suna hai 'fazl' adam mein bahut andhera hai