abr chhaya tha fazaon mein teri baaton ka kitna dilkash tha wo manzar bhari barsaton ka bujhti shamon ke taffun se bachane tujh ko main ne aanchal mein sameta hai dhuan raaton ka koi shahnai se kah do zara khamosh rahe shor achchha nahin lagta mujhe baraaton ka lakh darwaze hon chup aur dariche khamosh chudiyan raaz ugalti hain mulaqaton ka dhup bhi tez hai 'shabnam' ka bharosa bhi nahin waqt bhi baqi nahin ab to munajaton ka