bikhra ke hum ghubar sa wahm-o-khayal par patton ki tarah dolte phirte hain mal par apne hi panw bas mein nahin aur yar log tanqid kar rahe hain sitaron ki chaal par ye mal aanchalon ka subuksar aabshaar sad-mauj-e-rang-o-nur hai lamhon ki fal par bahte hujum sham ke lamhon ka sail hum raqsan hain zehan jhumte qadmon ke tal par uljhe hue hain bahs mein waraftagan-e-sham hai guftugu adab ke uruj-o-zawal par tai rah-guzar-e-pa hai na mauzu-e-guftugu whiskey ke dhundalke hain jawab-o-sawal par 'ghaalib' ka zikr tha abhi 'shelley' par aa gae pahunche 'mallarme' se jalal-o-jamal par jhonkon ke sath sath koi taer-e-khayal aa baithta hai zehan ki shadab dal par gard-e-safar se pyar hai manzil ka gham nahin yun chal rahe hain rahguzar-e-mah-o-sal par chhae hue hain soch ke sae kahin kahin chhitki hui hai chandni baam-e-khayal par har saya apni apni gupha mein ludhak gaya hum log ghumte rahe sunsan mal par