hawa ke zor se jab baadban phatne lage musafir apne khudaon ke nam ratne lage hamare sinon pe ab bhi bahut jagah hai janab magar tumhaare hi tarkash mein tir ghatne lage yazid-e-waqt hua jis ghadi se takht-nashin hamare nam ke khanjar har ek mein batne lage makan hum ne bana to liya kinare par na aisa ho ke kinare ki ret katne lage tumhaari khushiyan bhi meri hain gham bhi mere hain ye mal-e-muft nahin jo har ek jhapatne lage ise charagh ka rutba kahun ya roab kahun hawa ke par meri dahliz par simatne lage ye kis ne phenka hai patthar dhadhakte shoalon par sharare ho ke juda aag se uchatne lage bahut tha zoam jinhen apni shah-sawari par gire kuchh aise ke sine ke bal ghisatne lage tere mahal ke hisaron ki int jhadne lagin na aisa ho tera shahi waqar ghatne lage hue hain shahr-badar hum magar khuda na kare makan dhansne lagen aur zamin palatne lage 'nawaz' hum hi the jo rasta nahin badla wo zalzale the ke dariya bhi rah se hatne lage