abr hun aur barasne ko bhi tayyar hun main

abr hun aur barasne ko bhi tayyar hun main
tujh ko sairab karunga ki dhuan-dhaar hun main

ab to kuchh aur hi khatraat se do-chaar hun main
apne hi sar pe latakti hui talwar hun main

tab main ek aankh tha jab to koi manzar bhi na tha
aaj taswir hai to naqsh-ba-diwar hun main

hijr ke baad ke manzar ka kinaya hun koi
ek dhuan sa pas-e-diwar-e-shab-e-tar hun main

mera sarmaya to bas manzar-e-be-manzari hai
shahr-e-be-aks ka ek aaina-bardar hun main

dal ke sar ko gireban mein laraz uthta hun
mutthi-bhar khak nahin ek siyah ghaar hun main

dekh shamil hi nahin is mein koi mere siwa
dekh kis qafila-e-zat ka salar hun main

bas yahi hai mere hone ka jawaz aur suragh
ek na hone se miyan bar-sar-e-paikar hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close