khizr-e-manzil na tha ibn-e-mariyam na tha gham jahan tha koi shamil-e-gham na tha dil ko apni tabahi ka kuchh gham na tha us ki aankhon ka irshad mubham na tha is se pahle bhi sau bar dhadka tha dil dil dhadakne ka lekin ye aalam na tha kab falak par sitare farozan na the kab zamin par sitaron ka matam na tha jam-e-jam mein jo sadiyon sulagta raha aur kya tha agar khun-e-adam na tha us ne puchha na tha 'shor' jab tak mizaj aankh nam nam na thi dard kam kam na tha