chaar-su sail-e-sipah-e-mah-o-akhtar tera sarhad-e-shab se guzarta hua lashkar tera be-karan tu hi mahakat-e-shab-o-roz mein hai dasht-e-zulmat tera rahwar-e-munawwar tera kurra-e-baad pe sad-rang manazir tere halqa-e-arz mein yak-naqsh samundar tera harf-e-qirtas jihat-gir hai tafsir teri aks-e-aina-e-aurang hai jauhar tera dam-e-girdab mein biphri hui maujen teri tah mein pani ki giran-maya-e-gauhar tera