baat ka apni na jab paya jawab hum ye samjhe wo dahan hai la-jawab baaten sunwain lab-e-khamosh ne warna hum dete use kya kya jawab be-nishan hai wo kamar shakl-e-dahan kaun si shai hai nahin jis ka jawab sada kaghaz bheja name ke ewaz wan se aaya bhi to saf aaya jawab puchhta gar us kamar ka main nishan ghaib se milta mujhe is ka jawab tum jo kuchh kahte zaban-e-tegh se main dahan-e-zakhm se deta jawab aaj mujh se baat agar karte nahin denge ye but kal khuda ko kya jawab be-dahan wo hai to main hun be-zaban yar ki surat hun main bhi la-jawab kah ke ek misra mah-e-nau rah gaya ho saka kab bait-e-abru ka jawab baat sidhi ki jo tha mazkur-e-qad zikr-e-abru mein diya tedha jawab kijiye kya baat us kaj-taba se dega charkh-e-wazhgun ulta jawab baaten karta hai jo parda chhod kar mujh ko deta hai wo dar-parda jawab aa gaya ai wae paigham-e-ajal par na qasid le ke kuchh aaya jawab sun ke baiten mere hasid chup rahe ai 'wazir' apna sukhan hai la-jawab