abr likhti hai kahin aur ghata likhti hai roz ek zakhm mere nam hawa likhti hai zard patton ki chamakti hui peshani par hai koi nam jise baad-e-saba likhti hai jo mere nam se mansub nahin hai lekin wo fasana bhi mera khalq-e-khuda likhti hai ai meri jaan mohabbat bhi ajab shai hai ki jo kucha-e-gard-e-malamat ko wafa likhti hai sun kisi tute hue dil ka wo nauha to nahin naghma-e-gul ki jise dast-e-saba likhti hai ek tamanna ke liye phirti hai sahra sahra zindagi roz koi khwab naya likhti hai shab ke sannate mein ek man ki chhalakti hui aankh apne pyaron ke liye harf-e-dua likhti hai 'shahid' us ko main sunata hun purani ghazlen wo mere nam se kuchh sher naya likhti hai